Friday, February 7, 2014


Kahay?



kaarkhana e fikar me aaj yeh khayal pesh aata hai
Jab judai hai barhaq to kahay milwata hai?

Na Rooh hai Qabz, Na qalb Mutmayeen
Jab maut hai barhaq to kahay banata hai?

Mohabbat ka talabgaar to hai khaaliq e talabgaar bhi
Jab khud se faasla naa qaabil e bardasht, to kahay tarsata hai?

Silsila e Kash makash me hai Nasl e Adam
Jab izhaare jawab hai laazim, to kahay aazmaata hai?

itne khayaalat par soch vichaar acha nahi, hai ilm
Jab Pukhtaa hai emaan to Bandeya, kahay ghabraata hai?



Naa Shukri

Jab Itne gunah'on aur kotahion kay bawajood,
Tera Rab Shikwaa nahi kartaa,
To itne ehsaanaat ki baarish me tar ho kar bhi,
Tu Us ka shukar adaaa kyun nahi kartaa???



Kyun?

Duniya waloN! Batalao ye, kyoN jumle kaste rehte ho
KyoN shikwe hum se kerte ho, kyoN hum se larrte rehte ho

Saturday, September 8, 2012

Kaisay???




Guzri yadon k pano me se,Ek yaad arahi hai.......
Is gehray dil k andar se ek faryaad arahi hai......
Kaisay manaun jashn-e-azaadi mere rafeeqon.......
Apnay mulk me barbaadi ki lehar arahi hai......
Kaisay sajaun apnay ghar ko mere azeezon.......
Apnay bhai behnon k ujray ghar ki tasveer yaad arahi hai......
Kaisay azaadi k geet gaun,jab azaadi hi fanaa ho gayi hai......
Apnay hathon bigari taqdeer par,sharam arahi hai.....
Woh jashan hi kaisa joh milaap k sath na manaya jae.....
Toh bhool jao mere sathion k JASHN-E-AZAADI arahi hai.....

~ Azka ~

Kaash....




Kaash manzil panay ka rasta bhi itna saaf hota......
Par lafz "Kaash" jo  insan k liye bana hota,toh insan itna bebas na hota......!

~Azka~




Tareekeeon me gumshudaon ka ujala hai Qur'an,
be-zameeron se khud parda karta hai,itni hai is ki shaan,
ek harf is k parhne se banjati hai jeewat asaan,
Joh jaan kar bhi rahay anjan,woh nahi hai insaan!

~Azka~