Saturday, September 8, 2012

Kaisay???




Guzri yadon k pano me se,Ek yaad arahi hai.......
Is gehray dil k andar se ek faryaad arahi hai......
Kaisay manaun jashn-e-azaadi mere rafeeqon.......
Apnay mulk me barbaadi ki lehar arahi hai......
Kaisay sajaun apnay ghar ko mere azeezon.......
Apnay bhai behnon k ujray ghar ki tasveer yaad arahi hai......
Kaisay azaadi k geet gaun,jab azaadi hi fanaa ho gayi hai......
Apnay hathon bigari taqdeer par,sharam arahi hai.....
Woh jashan hi kaisa joh milaap k sath na manaya jae.....
Toh bhool jao mere sathion k JASHN-E-AZAADI arahi hai.....

~ Azka ~

Kaash....




Kaash manzil panay ka rasta bhi itna saaf hota......
Par lafz "Kaash" jo  insan k liye bana hota,toh insan itna bebas na hota......!

~Azka~




Tareekeeon me gumshudaon ka ujala hai Qur'an,
be-zameeron se khud parda karta hai,itni hai is ki shaan,
ek harf is k parhne se banjati hai jeewat asaan,
Joh jaan kar bhi rahay anjan,woh nahi hai insaan!

~Azka~


Buray waqt kay badal hamesha nahi rehtay....kabhi na kabhi hatt jatay hain....
Umeed ki Kiran jab nazar hai ati......toh naumeedi kyun jitattay hain.....
Waqt ek sa nahi rehta......khushi gham toh sath sath aatay hain.......
Khuda sirf us waqt hi nahi sunta...........jab mushkil k waqt hum usay pukartay hain...
~ Azka ~

Ajeeb itefaak hai...





Is Kainaat me maujood Insaano ka haal kuch aisa hai: Jab khush hon....toh log khush rehne nahi detay.....aur jab dukhi hon....toh log dukhi rehne ki wajah daryaft kartay hain......???

Zindagi me khushi ka hasool ho.....
toh duniya walay hasad kay maare door ho jate hain.....
aur toot k gham me mubtila ho kar kahin konay me bas jaein....
toh roshni bhi peechaay anay se daregh nahi karti......Ajeeb itefaak hai!!!

~Azka~


Ranj-o-gham me doobi,rahat ka zahoor kar rahi hun......
zindagi sukhay perh ki manand ujar gayi hai,be jijhak manzoor kar rahi hun....
pata pata sookh gaya hai,sameer ki amad ki aas lagaye baithi hun........
zindagi mujh se shikast le lay,itna majboor kar rahi hun.....

~ Azka Imran ~